0
❤ ↪ Aslaam o Alikum friends ↫ ❤
 is Post main hum baat kren ge TCP ke baaray main (Transmission control protocol) tu ye kiya hota hai kese kaam krta hai aaj hum is ke baaray main baat kren ge. jese ke apko pata hai ke alag alag compuer jin par internet use kiya jata hai unki alag alag (Unique) IP Address (Internet Protocol) hota hai. Internet protocol har device ki alag alag id create karta hai aur us id ke opar alag alag data ke packets send krta hai. mtlb agar ap internet par koi cheez upload krtay hain tu wo chotay chotay packets ki soorat main upload hogi . suppose agar apki 1MB ki file hai tu uske alag alag packets bntay hain (Data Packets) aur wo phir server par upload hotay hain, boht saray packets mil kar aik file bnatay hain. Lekin hum webpage load bhe tu krtay hain, data yahan se upload bhe tu krtay hain download bhe krtay hain. main yahan koi file download krne ki baat nhen kar raha,
main baat kar raha hon web surfing ki, jo internet ap surf krtay hain wo bhe tu data load hota hain apke web browser main tu wo webpage chotay chotay packets ki form main load hota hai jinko packets kehte hain. Agar koi data packet miss ho jaye tu usay dobara kese bhejna hai ya data packets kese ayenge kese jayenge. in subko control krta hain TCP (Tranmission Control Protocol ) kiyon ke is ke naam se he zahir hota hai ke transmission control protocol jo ke data ke transfer ko, packets ke transfer ko control krta hai .IP (Internet Protocol) aur TCP (Transmission Protocol) mil kar aik network bnatay hain jisay hum internet kehtay hain . simple way main apko internet surf krnay main help krtay hain, jo normal hum apne web browser main websites surf krtay hain .
Jese ke mene apko btaya ke kayi baar aisa hota hai ke, maan lijiye ke 5 data ke packets, mtlb ke kisi aik file ke 5 chotay chotay packets appke computer main load honay hain aur us main slow network honay ki wajah se koi aik packet drop/miss ho gaya . 5 packets main se 4 he receive huay 1 drop ho gaya. tu is condition main wo puri file apke computer main nhen bun payegi .
 tu server ko ye btana ke aik file missing hai. Tu ye kaam kon krege ? ye kaam TCP (Transmission Control Protocol) krega . TCP ye bhe define krta hai ke jub tak data transfer nhen ho jata, ya tu koi file upload nhen ho jati ya phir jub tak apka webpage load nhen ho jata tub tak connection alive rakhay. apke computer aur server ke beech jitnay messages anay ya jaanay hain jub tak wo complete na ho jayen connection ko alive rakhay .
I Hope apko TCP ki samajh a gayi hogi . agar apka koi sawal ho tu ap neche comments main pooch sktay hain . See u in next post. Take care .. :)

Post a Comment

 
Top